Buddhu Sa Mann (From "Kapoor & Sons (Since 1921)") 作词 : Abhiruchi Chand 作曲 : Amaal Mallik Dabi dabi si hansi honthon pe phansi hai Gududi kar rahi hawa Oo.. halla macha rahi hai pagal si khwaishein Khushiyon ki mili hai wajah Kuch hai junoon sa Kuch pagalpan hai Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai Kuch hai junoon sa Kuch pagalpan hai Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai ...... Karne de khwaabon ko badmashiyaan Chalne de nazron ki manmaaniyan Dhoondhe chalo kuch thikane naye Hone de pagli pagli si nadaaniyab Hosh mein rehna hai kyun Rehne se hoga kya Behoshiyon mein hai maza Oo.. bachkaani harkatein jo hoti hain hone de Kushiyon ki mili hai wajah Kuch hai junoon sa Kuch pagalpan hai Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai Kuch hai junoon sa Kuch pagalpan hai Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai ...... Mausam ne bhi ki hai kuch koshishein Hone lagi dekho ye baarishien Sar pe chadha hai yeh kaisa asar Daude raftaar mein dil ki sab dhadkanein Dhun koi chal rahi hai, kaano mein dheeme se Roshan hai zyada yeh subah Halchal jo ho rahi hai seene mein hone de Khushiyon ki mili hai wajah haan Kuch hai junoon sa Kuch pagalpan hai Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai Kuch hai junoon sa Kuch pagalpan hai Sau baatein karta ye buddhu sa mann hai